सर दर्द की गोली की बिक्री बढ़ गई

मेहंदी जयपुर से । मेहंदी को लपेटने के लिए कागज इलाहाबाद से । मेहंदी को लगाने वाला भोपाल से आया है । बारातियों को ले जाने वाली वोल्वो बस की एसी खराब हो गई । मेकअप उतर गया । अब अंबानी पहुंचे । और अब शेट्टी अपनी लंबी गाड़ी में आए हैं ।

पता नहीं क्या-क्या बताया । सर दर्द हो गया । क्या यह सब भी बताने की चीज है ।
प्राइम टाइम हो या अखबार का पहला पन्ना सब पर अमिताभ के बेटे और वधू की खबरें । यह शादी अभिषेक और ऐश्वर्य की है लेकिन मीडिया में इतना हाइप अमिताभ बच्चन की वहज से है ।

टीवी वालों की खबरों के दबाव में अखबार वालों की खबरें भी बदल गई । जमाना इंफोटेंमेंट का है । लेकिन ऐसी दशा-दिशा ।

आप किसी से पूछ लें सब इतने ज्यादा कवरेज से परेशान है । हर गली-नुक्कड़ में यही चर्चा है । मीडिया को अपनी जिम्मेदारी समझनी होगी ।

‘मनी’ और ‘मणि’ ने एशियाड से दूर किया

सुरेश कलमाड़ी यही दोहरा रहे हैं । बकौल कलमाड़ी, मणिशंकर अय्यर जीते, दिल्ली हारी । दिल्ली को 2014 में होने वाले एशियाड खेलों की मेजबानी नहीं मिली । मैं इस बारे में बहुत कुछ नहीं जानता। इतना समझ पा रहा हूं कि दिल्ली के साथ खेल प्रेमियों व खिलाड़ियों की भी हार हुई है । लोगों के भी अलग-अलग विचार हैं । बीबीसी के फोरम पर लोगों के कुछ राय

इसी पर कुछ इंटरनेट समाचार संस्करण के लगाए गए शीर्षक । यहां देखे
खेल मंत्री मणिशंकर अय्यर व भारतीय ओलंपिक संगठन के अध्यक्ष सुरेश कलमाड़ी के बीच यह खींचतान भारत के लिए नुकसान दायक है । कलमाड़ी का कहना है कि हमारे सरकार खेल पर पैसा नहीं खर्च करना चाहती है ।

इससे पहले अय्यर कह चुके हैं कि खेल आयोजनों पर बड़ी रकम खर्च करने से पहले खेलों के आधारभूत ढांचे को विकसित करना हमारी प्राथमिकता होनी चाहिए।

खेल को लेकर हमारे लिए सबसे बड़ी बात है कि 2010 में होने वाले राष्ट्रमंडल खेलों की मेजबानी हम सही से करें । हम भारतवासियों की ओर एशियाड की मेजबानी जीतने वाले दक्षिण कोरिया के इंच्योन शहर को ढेरों बधाईयां ।

Chandu maine sapna dekha

MYDREAM

Mandi house me aaj bahut bhir thi aur maine aur chandu ne socha ki lala ki tea shope pe 1-1 cold drink ho jaaye. maine cold drink ka ek lamba ghut lene ke baad chndu se bola ki yaar chandu kya tu jante hai, jaldi hi mere paas bhi ek ghar hoga. chandu turant bola koi khajana haath lag gayaa kya maine bola nahi yaar loan pe karj lunga. chandu bola yaani tumne aaj news paper nahi dekha. mai bola delhi me mcd ka election aur up me chunavi mahasangram aur kal Supreme court ka reservation (obc) pe aaya aadesh inke alava india me koi importent news to nahi hai. tabhi chandu bola rbi ne intrest rate ko jyada karne ka Decision le liya hai. etana sunte hi mere hatho se cold drink ki botal girte-girte bachi. maine chandu se bola yaar tum joke to nahi kar rahe ho to chandu bala nahi yaar. etane me ham dono ki cold drink samapt ho chuki thi aur mai chandu se kewal etana hi kah paya ‘ CHANDU MAINE SAPNA DEKHA, SAPNE ME GHAR APNA DEKHA’

Shakira ke thumke

Shakira

Bhool jaiye Team India ki haar ko. Shakira ka thumka dekhiye. Bhai log ab tak hum logo ne Big Brother winner Shilpa Shetty ke hi thumke dekhe hain lekin ab dekhiye Latin queen Shakira ke jhatke. Youtube par maine shakira ko kai baar dekha hai. Nachne ki bhi koshis ki lekin… :) Mat hasiye aap bhi nahi naach payenge. Koshis kar le, Ye naach Don ki tarah mushkil hi nahi asambhav hai.

Mumbai ke logo ne vada-paav kha kha kar shakira ke thumke ka anand liya to hamare news channel Shakira ko dikhate nahi thakte. TRP jo badhana chahate hain. Ab India global ho gaya hai to yaha par har global log jaroor najar aayenge. Yaani, Jackson, Jolie aur aaj Shakira. is video ko dekhiye aur koshis kar lijiye, kya pata aap bhi global ho jaaye.

Apna sikka khota nikla

Sachin   

fikr-e-aashiyan har khizam ki, aashiyan jala har bahar mein

kis tarah yeh gum bhul jayen hum, woh juda hua is bahaar mein.

Jiski charcha court room se lekar board room tak hoti hai. Sansad bhi iski charcha karna nahi bhulta hai. Blue billion se lekar Hu Haa aaya tak pata nahi kitne jumle diye gaye.

Lekin… Jab apna hi sikka khota ho to hum kise dosh de. Team India Sri Lanka se haar gai. Hamaare kagaji sher world cup mein is baar kagaj mein bhi gidad hi najar aaye.

Lekin… Ab kya kahe, kya sune. Jab anjaam ko hum jaan hi gaye. Har koi maayush hai. Kisi ne kaha kismat kharab thi. Cricket ki yah haar logo ko yaad rahegi.

Lekin… ab bhi hamaare news channel apna SMS ka karobar nahi chhodenge. Match ka mujrim se lekar space A, space B, Space C tak ki rat lagti rahegi.

 Ab tera kya hoga Greg Chappel.

Yah haar 1996 mein mili semi final ki haar se bhi sadme wali hai. Sri Lanka ne us samay bhi apna danka peeta tha aur is baar bhi.

 Jor ka Jhatka Jor se hi laga hai.

Report on BBC Hindi

Eyes on India

India

New York Times, Washington Post, BBC, CNN. Ye kuch aise media organisations hain jinki khabro ka impact hota hai. CNN par pure March Eyes on India naam ki khaas program chal rahi hai. Yahi in baaki ke theeno ne kiya hai. BBC par India Week, NY Times par India Special aur Washington Post par In Depth jaise kai special pages hain.

Kisi country ki article ko dekhe jaane ke maamle mein Wikipedia par India ki article ko US ki article ke baad sabse jayada baar dekha jata hai. BBC Latin America ke reader India ke baare mein jaana chahte the. Unhone BBC ke madhyam se kuch sawal puche.

Logo ko India ke baare mein jaane ki itni lalsa kyon jag uthi? Kya Kalam ka Vision-2020 pura ho raha hai? Sabhi ki aankhe India ki taraf kyon ghum aai?

India ko jaane ke liye Indian Government ki kuch official website ko dekhe

National Portal of India

Directory of official web sites of Government of India

India Image : a programme to establish Indian Governments

Kya? Bob Woolmer nahi rahe!!!

Bob Woolmer 

New York Times ne Parvez Musharraf ke baare mein likha hai ki Musharraf world ki sabse khatarnaak naukari kar rahe hain. Agar Musharraf Pakistan ke rashtapati hokar surakhit nahi ho sakte to Pakistani Cricket team ke coach Bob Woolmer kaise surakshit ho sakte hain.

Ab mujhe ye to nahi pata ki ye maut saadharan maut hai ya fir koi durghatna. lekin shuraati khabawo se pata chalta hai ki yah koi saajish hi hai. Report on BBC Hindi and NDTV with some comments

Bob Woolmer Official website

Bob Woolmer Wikipedia

Cricket ka shor

Cricket match

Sahrukh Khan aaj kal dukhi hain. KBC ki charcha gum ho gai hai. Log Kunal Kapoor ki charcha karne lage hain. Uski film Hat-trick jo aa rahi hai.

Jaha jata hu har koi ek hi baat kar raha hai. Cricket!!! Cricket!!! Cricket!!!. Main to bor ho gaya hu. Har company is cricket ki bahti ganga mein apna haath dho lena chahta hai.

Hamaari Indian Media to iski deewani ho gai hai. Subah ke 6 baje se lekar raat ke 12 baje tak In 18 ghanto mein ye 8 ghante cricket ke baare mein baat karte hain.

Abhi jab main yeh likh raha hu to mere dost ne bataya ki Sri Lanka ke Maharoof ne Hat-trick ka chance miss kar diya to ye hai Cricket World Cup 2007 ka karishma.

For u all

Links: cricketworldcup.com

Dandi march aur Bombay bomb blast ki barsi

Dandi March 

In dono ghatnawo ne Bharat ko hila kar rakh diya tha. Ek aajadi ke pahle ki ghatna hai to ek aajadi ke baad ki. Ek ghatna bharat ke hit ke liye ki gai ek ghatna bharat ke ahit ke liye.

12 March 1930 ko Angrejo ke salt tax ke khilaf Gandhi ji ne Sabarmati Ashram se Dandi 24 din tak 240 miles paidal chale aur namak bana kar kanoon ka virodh kiya.

1993 Mumbai bomb blast

12 March 1993 ko aatankvadiyo ne Bombay mein ek ke baad ek 15 dhamake kiye. Jiske baad se pura bharat ab tak dahal raha hai. 257 log maare gaye, 1400 se jyada log ghayal hue.

Dandi march ko hue 77 saal aur Mumbai bomb blast ko hue 14 saal beet chuke hain. Tab ke bharat aur ab ke bharat mein bahut kuch badal chuka hai. Neta badal chuke hain, pehle ke neta bharat ke baare mein sochte the aur ab ke neta apne baare mein sochte hain.

Phir bhi bharat bahut badla hai. Sabhi log kuch na kuch dekh rahe hain. Sab ka apna apna matlab hai. Kisan apne ko dekhne ke baad neta ko dekh rahe hain. Kaamgaar sarkaar ki nitiyo ko dekh raha hai. Neta kewal apne aap ko dekh rahe hain. Videshi India ki economy ko dekh raha hai. Kyonki India shine kar raha hai.

Everyone is calling India!! India!! India!!